Sunday, 25 September 2011

mera bharat mahan

2g spectrum ghotala jab se samne aaya hai har din koi na koi naya neta ismen aakath duba hua samne aajata hai.Beaise yeh anuman to pehle se hi tha jab PMO ne suprime court main halafnama dekar is mamle ko niamanusar bata kar khatam karane ka piryas kiya tha,ki jaror isme satta se judi kuch mahan hastiyon ka hath hai.Par RTI actvist adv vivek garg ko mile 2page vale patra ne pmo ki kalai khol di hai.Afsos bharat ka PM samvidhan ki kasam ko nibhane mai hi nakam ho gaya.Congress PM ka bhale hi k.itna gurgan kare par Bharat ki janta ke samne unehen sfai deni hi hogi.Kai logon ka to yeh bhi manana hai ki abhi to un logon ko samne aana hoga jinhon ne parde ke peeche se ghotalon ke khelon ko anjam dilaya hai. Ab cogress ke ek se badhkar ek purodha ek doosare par  viswas jata rahe hai jisai sun kar koi bhi chakit ho sakta hai,karen bhi kyon na ' birdsof a feather flock tobether'.Ek ho to kaha jaye yahan to HAMAM MAI  SABHI  ............HAIN.Isi liye to kaha hai. mera bharat mahan.

Saturday, 17 September 2011

Inko sanmati de bhagwan

Hamari sarkaren( kendra aur utter pradesh donon ) niji TV chenals par rozana bare- bare lambe vigyapanon mai apne karyayojnaon ka  gurgan karte nahi aghati .bari sachhaei to janboojh kar ve samajhna hi nahin chahti ki jyadatar darshak in vigyapanon ke shuru hote hi ya to TV bund kar dete hai ya fir chenal badal dete hai .Ek bat aur sarkar apni prashansha sarkari chenals par na de kar kya yeh nahin  batati ki sarkari hone ke karan janta ka in sarkari chenals par bharosa hi nahin hai,aur janta inhen nahin dekna chahtihai.Is se ek bat aur nikalti hai ki sarkar  aur unke karyakram janta ke dilon mai jaghah nahin bana sake, aakhir kyon? yeh sarkaren agar iska jawab khoj saken to janta ka  bhala to hoga hi sath hi sakar ke prati janta ka viswas bhi badh sakega.Par .Musiwat to yeh hai ki sarkaron mai chand swarthi tatwa apna ullloo sidha karne aur apni kursian bachane ke liyae sarkaron ko kabhi vastvikta tak pahunchne hi nahin dete aur jab sarkaron par koi sankat aata hai ya koi doosri sarkar satta me aati haito tab yeh chtukar pala badal kar doosri nao par sawar dekhe ja sakte hai.
Aajkal samachar- patron mi rajnitik virodhi ek doosre ke virodh mi eaisi baten karte sune jasakte hai ki jata ko bharosa hi nahi hota ki yeh hamare pratinidhi hai,kitni sharmnak istithi hai?Doosre in akhawaron mai  mehgai aur bharastar ke alawa balatkar,daketi,durghatnaon mai mot,aur police ki karyasheli ki khabaron par bhi bare neta kyon nahin samajhna chahte? yeh sawal netaon ki na sahi janta ki nied udaai huye hai jinka natija bhi jaror samne aana waki hai.
Aaj phir AGRA ki jai clinik mai bisphot ho gaya ,sarkar ne fir high alert kar diya  vas sarkar ka kam khatm? yeh kaisi govt.?
Aur ant mai..... Sabko sanmati de bhagwan....

Friday, 16 September 2011

Janta ko ek aur jhatka


UPA mukhia Sonia gandhi ne America se vapas aate hi petrol ki keemat mai Rs03.14 paaise ki vadhotri karne ki sahmati dekar Bharat ki janta ko ek aur na bhulne wala tohfa de diya hai.Janta par ho rahi ek ke bad ek mehgai ki mar ko woh ya unki sarkar ke mantri jane kyon nahin samjhne ka piryas karte?Desh men mahgai ki mar se rote- rote aam aadmi ke aansoo sookh gaiye hai, lekin sarkar hai ki roz nai bahane lekar janta ka khoon nichorne men koi kami nahin chodna chahti.1 jul 2009 se petrol ki keematon me lagatar ho rahi braddhi ko Desh ka koi nishpaksh arthshastri uchit nahin bata raha, veete ek saal main petrol ki keematon mai 11vin var ijafa kar sarkar kia deshvasiyon ki sahansheelta ko parakhna chahti hai ? Kiya sarkar desh ko yeh vataygi ki EK se badhkar ek Ghotalon se janta kie KHOON PASEENE ki Kamai dakarne ke alawa woh kis kam mai safal hui hai?Na to mehgai ruk rahi he na bharastachar aur na hi aatankvadi vardaten na hi aapradh to aiesi sarkar ki bhala kyon jaroorat ho?Khawar hai ki aaj phir hone wali bethak mai LPG ki keemat bhee sarkar badhane ja rahi hai.Agar aiesa hota hai tab AUR bhi SONE MEN SUHAAGA ho jaeiga.Sarkar ne tex lene main koi kasar nahi chodi,Phir bhi sakari yojnaon aur doosre kharchon ki apurti nahin kar pa rahi,ise mis management hi kaha jayega.Aakhir sarkar apne kharchon par lagam kyon nahi lagana chahti? Iske saath jin yojnaon ka paisa bekar ja raha ho unko tatkal band kar usme naiye sudhar laie jane chahiye.
Kehna na hoga ki iske liya SAKAR ko apni kathani aur karni men ekroopta laani hogi.
Ek bat aur ANNA ke aandolan ke bad anna teem ke sathiyon aur media krmiyon ke sath jis tarah se sarkar pesh aa rahi hai usse to yeh lagta hai ki Sonia ke aate hi sarkar khul kar un sabhi ko SABAK SIKHANE KI puri taiyari kar chuki hai jinhonne janandolan mai ANNA KA SAATH DIYA THA.
Lekin sarkar ko samajh lena chhhaiye ki......

"voh jis mai lau hai andheron mai aur chamkega
kisi diye(candle)pe andhera uchhal kar dekho;
tumahare dil ki chhubhan bhi jaroor kam hogi,
kisi ke paon ka kanta nikal kar dekho...."   (Dr. Kunwar Baichain)
          Achha ho ki sarkar aam aadmi ko rahat denen wale kadm utha kar janta ka dil jeete
aur vahumat se agli sarkar banane mai safalta hasil kare.
   Satya-mev -jayate.   JAIHIND.

Friday, 9 September 2011

sarkar ki hatasha aur aatankvad

sarkar abhi pichhli aatankvadi ghatnaon se niwat nahi pai,ki Dilli high court parisar mai ek aur visphot ne desh waasiyon ke samne yeh jzahir kar diya ki chhhe atankvad se ladne ki kitni bhee waten sakar kyon na karti rahe par woh atnkwadiyon ke khilaf koi kaarrwai karne ke vjaye uneh mukt karne ke liye vahanon ki talash mai tab tak mamle ko talti rehti hai jab tak ki ve mukt na ho jayen.zyada sochne ki jarorat nahin sri rajeev gandhi ke hatyaron ka mamla ho ya fir AFJAL GURUyaaABDUL KASAB  in ke sath sarakar ka rawaiiya dekh deshwasi
hatprabh hain.Kitni  ajeev bat hai ki aatank wadiyon ki khilaf karrr=wai karne ko pakitstan sarkar par to hum dawab banana chahte hain aur kanoon ke shikanje mai aaye khunkhwar mujrimon ko court ke aadeshon ke badbhi saja dene ki jageh unhen mahman jese pal  rahe hain. sarkar ki eaisi hi dhulmul nitiyon ka parinam hai yeh aatnki wardaten.apradhiyon ko dar hi nahin to aatanki wardaten rukengin kaise? Hamari sarkar ke pas iska koi jawab nahi hai.Haan sarkar se koi bharastachar ,ya mahgai ki bat koi kare to use jail mai dalne ke liye sarkar ki sari agencies ek saath sakriye ho jati hain.Sarkar ke abhi samaye hai ,woh chahe to deshwasiyon ki bhavnaon ko samajh kar kadam uthaye warna sakar ko iski keemat chukane ko taiyaar rahna hoga .YEH PUBLIC HAI SAB JANTI HAI.  jaihind.  

Thursday, 1 September 2011

ganesh puja

Ieshwar me aastha Bharat ki visheshta hey aur aaj pura desh Ganesh Charthi mana raha hey.Chandausi ,uttar prdesh mei bhi Ganesh utsav ki dhoom hei.Ganesh mandir ke tatvadhan mei yeh utsav pichle kai saalon se hota hey.Marketing ke mahir Dr Giriraj kishore ne aastha ko bhee bazar ki cheez bana kar mele ko dhandha bana lia hei yahan ke log  batate hen ki ..kewal eek var ki banaigain jhankiyan har sal nai rang rogan karke unme lakhon ka kharch dikha  lakhon ki kamai aur us par bhi koi tex nahin.Bhagwan ke nam par kamane ka dhandha pure desh mey dhadallle se chalta hey.aastha to theek pur uski aar mey kuchh bhi anetik nahin hona chahiye.Mele ka president D.M.MORADABAD ko namit kar vayvastha ki jummedari bhi prashan ke sir thop di jati hai.Shashan aur  prashashan ko kuch karna chahiye.