UPA mukhia Sonia gandhi ne America se vapas aate hi petrol ki keemat mai Rs03.14 paaise ki vadhotri karne ki sahmati dekar Bharat ki janta ko ek aur na bhulne wala tohfa de diya hai.Janta par ho rahi ek ke bad ek mehgai ki mar ko woh ya unki sarkar ke mantri jane kyon nahin samjhne ka piryas karte?Desh men mahgai ki mar se rote- rote aam aadmi ke aansoo sookh gaiye hai, lekin sarkar hai ki roz nai bahane lekar janta ka khoon nichorne men koi kami nahin chodna chahti.1 jul 2009 se petrol ki keematon me lagatar ho rahi braddhi ko Desh ka koi nishpaksh arthshastri uchit nahin bata raha, veete ek saal main petrol ki keematon mai 11vin var ijafa kar sarkar kia deshvasiyon ki sahansheelta ko parakhna chahti hai ? Kiya sarkar desh ko yeh vataygi ki EK se badhkar ek Ghotalon se janta kie KHOON PASEENE ki Kamai dakarne ke alawa woh kis kam mai safal hui hai?Na to mehgai ruk rahi he na bharastachar aur na hi aatankvadi vardaten na hi aapradh to aiesi sarkar ki bhala kyon jaroorat ho?Khawar hai ki aaj phir hone wali bethak mai LPG ki keemat bhee sarkar badhane ja rahi hai.Agar aiesa hota hai tab AUR bhi SONE MEN SUHAAGA ho jaeiga.Sarkar ne tex lene main koi kasar nahi chodi,Phir bhi sakari yojnaon aur doosre kharchon ki apurti nahin kar pa rahi,ise mis management hi kaha jayega.Aakhir sarkar apne kharchon par lagam kyon nahi lagana chahti? Iske saath jin yojnaon ka paisa bekar ja raha ho unko tatkal band kar usme naiye sudhar laie jane chahiye.
Kehna na hoga ki iske liya SAKAR ko apni kathani aur karni men ekroopta laani hogi.
Ek bat aur ANNA ke aandolan ke bad anna teem ke sathiyon aur media krmiyon ke sath jis tarah se sarkar pesh aa rahi hai usse to yeh lagta hai ki Sonia ke aate hi sarkar khul kar un sabhi ko SABAK SIKHANE KI puri taiyari kar chuki hai jinhonne janandolan mai ANNA KA SAATH DIYA THA.
Lekin sarkar ko samajh lena chhhaiye ki......
"voh jis mai lau hai andheron mai aur chamkega
kisi diye(candle)pe andhera uchhal kar dekho;
tumahare dil ki chhubhan bhi jaroor kam hogi,
kisi ke paon ka kanta nikal kar dekho...." (Dr. Kunwar Baichain)
Achha ho ki sarkar aam aadmi ko rahat denen wale kadm utha kar janta ka dil jeete
aur vahumat se agli sarkar banane mai safalta hasil kare.
Satya-mev -jayate. JAIHIND.
No comments:
Post a Comment