2011ki vidai aur 2012 ke aagman ki khushiyan bharat sahit poori duniyan mai dekhi gayen, is jashn mai doobe log abhi tak khumari uttar rahe hai. mai isse kuch alag soch raha hoon.naye saal 2012 ke pehle hi din jam kar varsha huee,andhra mai jehrili sharabse 17 logon ki maut50 gambheer,kolkata mai 2 isthano par aag mai karoron ka nuksan,japan mai fir 7 megnitude ka bhukamp,bharat -pak ne parmanu bijli gharon ki suchi ek doosre ko saunpi,pm ne AMRATSHAR mandir mai mattha teka,anna ke swathya mai sudhar,masik rogiyonpar drug tril ke aaropi 12 doctors par rs.5000-5000 ka jurmana(66 dokters par kya karrvaie hue kisi ko pata nahin, ghatnaye koi acchha sandesh nahin de rahin,aur aaj doosre din ambala ke pas ek accident mai 13 naunihalon ki dardnank maut aur anek gambhir ghayal huye aur siasat ka aalm dekhen, mirtak ke pariwaron ko 1-1 lakh ka muavja aur ghayalon ke pariwaron ko 25000-25000 ke muawje ki ghosna kar mamle ko dawane koshish,netaaon ke nakarepan ko dikhatin hai. kul mila kar halat kharab dar kharab hote ja rahe hai aur neta kehte hai vikas ho raha hai.koi sharm nahi, koi dukh nahi.?
kul mila kar desh aur duniya ke haalat achchhe nahi. Bhagwan bhala kare.aisa aakhir kab tak chalega? kab tak ham sab sote rahenge? ab to jago sone walo....
kul mila kar desh aur duniya ke haalat achchhe nahi. Bhagwan bhala kare.aisa aakhir kab tak chalega? kab tak ham sab sote rahenge? ab to jago sone walo....
No comments:
Post a Comment